send link to app

Quran Ka Paigham


4.0 ( 6640 ratings )
Referencia
Desarrollador Muhammad Wahhab Mirxa
Libre

Message of the Quran
Kitaab ke baare mein:
Nabi Kareem (s.a.w) ka irshaad hai, "Quran-e-Kareem aisa sifarishi hai jis ki sifarish qubool ki jaye, bandon ko bakhshwane ke liye aisa koshish karne wala hai ke jis ki baat qubool ki jaye aur us ki koshish rang laaye. Jo is ko apna imaam aur rehbar banayega us ko who jannat me le jayega aur jo us ko chhod dega us ko woh jahannam ki taraf haank dega." (al targib wa tarhib)
Quran -e- Kareem ALLAH Taala ki wo kitaab hai jis ki badaulat zaleel wa ruswa insanon ko izzat mili, is me gaur wa fikr karne walon ko hidayat mili. Is ki tilaawat karne walon ko chain wa sukoon mila, is par amal karne walon ko kaamyabi ka parwana mila. Ye insanon ko andheron se nikaal kar raushni ki taraf lane wali kitab hai, bhatke huwon ko seedha rasta dikhane wali kitaab hai. Allah se bichhde huwon ko Allah se milane wali kitab hai. Is ke Fazaail be shumaar aur is ke fawaaid be misaal. Har aitbaar se haq aur har naahiyah se sach. Is jaisa aaj tak na koi laa saka hai aur na qayaamat tak koi laa sakega.
Quran -e- Kareem ki itni ahmiyat ke bawajood ummat-e-muslima Qurani taleem se gafil hai. Ummat ko Qurani paigamaat se mukhtasar waqt (taqriban 10 minutes) mein waaqif karaane ki koshish ki gai hai. Jo hazraat is kitaab se faaida uthayenge unhein chahiye ke Quran ke is paigaam ko samjhein aur is par amal karein, saath saath kisi moatebar aalim-e-deen ki rehnumaai me mukammal Quran ko samajhne ki koshish karein taake sahih taur se Quran -e- Kareem ke saaye mein zindagi guzaar sakein.
Is mukhtasar si kitaab ko tarteeb dene mein is baat ka lihaaz rakha gaya hai ke Quran-e-Kareem ke har paare ke ek ek paao ko le kar us ke chand mazameen par raushni daali gai hai aur ek safhe par ek hi paao ke mazameen darj hain, jin ke liye taqriban 2 minutes lagte hain. Taake ramzanul mubaarak mein tarawih mein jitna Quraan padha gaya hai us ke mazameen ko tarawih ke baad padh kar sunaaya jaa sake aur taraawih aur witr ke darmiyaan bhi padh sakte hain. Neez agar tarawih mein daily sawa paare ki tarteeb chal rahi hai to har tarawih (4 rakat) ke baad bhi ek safha padh kar aasani ke saath sunaya ja sakta hai, jis ke liye taqriban 10 minutes lagte hain.
Aakhir me dua hai ke Allah taala is koshish ko qubool farmaye aur hamaare liye zakhira-e-aakhirat banaaaye. Aameen